jaise kisi hamsafar ko;
sath mein apne paya hai...
sath mein apne paya hai...
wo sath jo kabhi kisi ko
bhulane ko liya karte the,
uski yaado ke saaye me;
zeher jo thoda piya krte the...
zeher jo thoda piya krte the...
fir ek din kisi hamrahi ke kehne par;
us hamsafar ko mene chhod diya,
jb mene apni ashiqi ka rukh;
uski mohabbat ki taraf mod diya...
uski mohabbat ki taraf mod diya...
wo mohabbat jiski khatir; me duniya se ruth gya,
usi mohabbat ki ruswai me; yaaro fir se me tut gya...
ek hath me maikhana or duje me ashq ka jaam hai,
wo jaam jo hamari adhuri mohabbat k naam hai...
or wo hi naam lekar,
aaj muddato baad;meine jaam ko hath lagaya hai,
jaise kisi hamsafar ko;
sath mein apne paya hai..."
sath mein apne paya hai..."