"gar pyar karna ek gunah hai,
to haan! meine ye gunah kiya hai;
ek baar nahin
kai dafa kiya hai...
magar kabhi kisi ko jhutha
sapna nahin dikhaya hai;
or na hi kabhi kisi se jhuta
koi wada meine kiya h...
kisi ko jhutha pyar kar
uska dil nahin rakha hai;
kisi ka dil rakh usko kabhi
dhokha nahin diya hai...
bas sachhe dil se kiya hai
jab jab ye gunah kiya hai ;
haan! meine ye gunah kiya hai"
(to be continued...)